QURAN woh kitab hay, Jo ders-e- inquilab hay Hamari dersghah, hay seedah raasta Karbala! Karbala!
1) Bism-e-Rab-e-Jahan Bismillah SubhanAllah, ye Quran Allah Allah Umul kitab hay ye masha Allah Ik aik surah hay,Universal law Quran woh kitab hay, jo derse inquilab hay
2) Quran ki goad ka, Ik aik surah Woh mayida ho ke, Yaseen o Taaha Surah-e-Maryium o Rehman o Shorah Perhte he rehtey hein,Rab ka qaseedah Quran woh kitab hay, Jo derse inquilab hay
3) Quran ki shan hay, shan-e-Muhammad Quran hay, meezan-e- Muhammad Farman -e- Rab, Farman-e-Muhammad Nukta-e - Baa Quran-e- Muhammad Quran woh kitab hay, Jo derse inquilab hay
4) Kaise Quran hay, HUm tak aayyaa Kis ne sikhayyaa hay, Kis ne parhehayya hay kis ghirane ka, Yeh surmayya Jan de ke iss ko hay, Kis ne bachchaayya Quran woh kitab hay, Jo derse inquilab hay
5) Deen bhi bacha, Quran bhi dekho Baaqi Raha eman, Bhi manno Kia gayaa kis ka, Yeh bhi tou socho Ghar tou luta Syeda ka, hay loggo Quran woh kitab hay, Jo derse inquilab hay
6) Woh karbala, Woh Nabi ka ghiranna Quran idher, tou udher hay zamanna Ik aik paarey ka, maqtul jaannaa Khoon mein naha ke, Yeh sub ko batana Quran woh kitab hay, Jo derse inquilab hay
7) Yeh Karbala, yeh hay shaam-e-ghareeban Woh jaltey kheimein, Woh aayaat-e-Quran Kheimon mein bali Sakina, hei perishaan Zainab pukari, ye bar sar-e-meidan Quran woh kitab hei, Jo derse inquilab hay
8) Dekha na ho ga, kisi ne woh manzer Jo karbala mein tha, Rehan o sarwar Be perda saari, thin Aal-e-peyumbur Ik sar ye kehta tha, Nok-e-sinan per Quran woh kitab hei, Jo derse inquilab hay
|