Ya Zehra
Ay meri bibi tere dar pe istighasa hay Tera mamnoon meri shehzadi ye jaha sara hay Tu hame hifz or amaan dede, Apni chadar ke saiban dede Teri qudrat me kya nahi bibi, Tu jise chahe do jahaan dede Ay meri bibi aansu-o mein duwa mangi hay Teri tasbee hi parke dil ne tuje pukaara hay Tera darbaar wo sakhi dar hai, Har farishta jahaan gadaagar hay Tere maqrooz asmaan waale Tera maqrooz har sikandar hay Tu sakhi hai tere bache bhi Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hay Farshe majlis pe aur musalle par, Har jawaa keh raha hai roro kar Ham rahain na rahain magar bibi, Ta qayamat rahe ghame Sarwar Ay meri bibi tere bacho ka gham manaa te hay Apni awlaad se kahi barke gham ye pyara hay Karz makrooz ka adaa karde, Mufliso ka naseeb wa kar day Jinki godi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa kar day Ay meri bibi bas tuhi muraad deti hay Teri chawkhat dare ilahi ka isti araa hay Farq momin se gham juda karde, Bas ghame Karbela ataa kar day Be khataa qaid me hai jo momin, Mojize se unhe rihaa kar day Ay meri bibi gham koyi hussainiyo ko na de Jo Hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hay Un shaheedo ka ye mukadar hai, Sayibaan inka teri chadar hay Unke sino pe ay meri bibi Daaghe maatam nishaane Haider hay Ay meri bibi khuld me shaheed jab jaye Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hay Majlise gham me ashk barsaane, Aa sakain ya nahi Khuda jaane Kya bharosa hamaari saanso ka, ab kahaan ham kahaan azaa khaane Ay meri bibi ashke gham teri amaanat hay, Teri awlaad ke hi gham ne hame sawaara hay Tujko ummat ne yun sataaya hai, Marghe Mohsin pe bhi rulaaya hay, Tujko baba ke baad ummat ne, Haaye darbaar me bulaaya hay Ay meri bibi kitne sadme utha hai tune, Jeetay ji tujko meri shehzadi gham ne maara hay Ay meri bibi tere darpe sar jukaa te hay, Har Hussaini ka tere tukro pe hi guzaara hay
|