Be isme Rabbil Husain
Aao maatam karo, Bibi ki dua lo logo, Gham e Shabbir me do aasoo bahaa lo logo,
Jab bhi Abbas ki yaad aae Sakina ki tarha, Ek sukhi si koi mashk, uthaa lo logo,
Kufa o Shaam ke har mod pe Zainab ne kaha, May nabi zaadi, meraa pardaa bachaa lo logo,
Binte Tatheer kujaa Shaam ka bazaar kujaa, Sar pe chaadar nahi, nazro ko jhukaa lo logo,
Shaah e bekas ki sabilo pe chalo Ahle Azaa, Yaad Asgar ko karo, pyaas bujhaa lo logo,
Roz e Aashoor ye Zainab ki sadaa aati hay, Mere bhai ka janazaa hay, uthaa lo logo,
Aaj tak goonj rahi hay, ye sadaa maqtal me, Qayd se meri Sakina ko churha lo logo,
|