Apne bhete ki safay matam bicha lo Fatima Aa geya maah-e-aza aanso baha lo Fatima 1) Aag se Sajaad ko aakar nikalo Fatima Are aakar nikalo Fatima Jal na jaaye aag se muztar bacha lo Fatima 2) Cheen kar chadar saro se legeye aada-e-deen Hai le geye aada-e-deen Nange saar Zainab hai chadar tou udha lo Fatima 3) Zakmh inte hai kay ghode par sambhal saktey nahi Hai sambhal saktey nahi Gir na jaaye laal ko aakar sambhaalo Fatima 4) Are tashnalab Shabbir ki himmit pe keh kay marhaba Hai himmat pe keh kar marhaba Apne seene say zara padh kar laga lo Fatima 5) Bolsa lena hai agar peshaani-e-Shabbir ka Are peshaani-e-Shabbir ka Pehle Khaak-o-khoon tou chehre se hata lo Fatima 6) Sar khule ahle haram hai Shaam ke baazaar mein Hai Shaam ke bazaar mein Bibiyo paar aake chadar tou udha lo Fatima 7) Yaad kar kay ro rahi hai baap ki aaghosh ko Hai baap ki aaghosh ko Godh mein badh kaar Sakina ko utha lo Fatima 8) Seena-e-Akbar se barchi ka nikalna hai muhaal Hai barchi nikal na hai muhaal Kaampta hai haath shah ka tum nikaalo Fatima
|