Aik tehreer uthaaye boli darbar main aa kar Zehra, logo main bint-e-Nabi hoon Aisa badla hay Medina apna haq mang rahi hoon ghasib say, kalma go kursi nasheen hain aur may kab say khari hoon 1) Poocha Haider nay bata kya kya masjid main howa Ro kay bus itna kaha, kabhi deewaaro ko thaama, Kabhi mai khakh pe bethi, hoon thak kaar Kabhi bayton nay sambhaala, kabhi rastey main giri hoon 2) Woh toh kamsin hain abhi door hai shaam say bhi seh na paye gi kabhi Us say Zainab nay yeh pocha kahan jaati ho batawo aey amma Mainay Zainab say chupaya kay may darbaar chali hoon 3) Aisay khamosh ho kyu aey na chaho jo kaho Amma kuch toh bolo, Ro kay boli bayton say saath behno ka nibhana Karbal main Nangay saar kaisay chalengi, bas yehi soch rahi hoon
4. Jitne dukh maine sahe Gar woh din par bhi pade Woh siha raat bane Yehi dukh kam to nahi hay Iss qadar tanha Madine me hui koi sunta hi nhi hai ke main kya bol rhi hoon
|