Baba hai museebat ka safar
Efforts: Abbas



ZAKIR SHAMS UL HASSAN - Marsiya

Baba hai museebat ka safar mera muqadar
Main shaam ke zindaan say naa aaon gi palat kar

Main dortay oontoo say kayi baar giri hun
Maara hai mujhy shimr nay har baar utha kar

Pehnaye the jo eid pay tu nay mujhy Baba
Khenchay hai meray kaano say wo shimr nay gohar

Kehtay hain laeen tars say Abbas jjh kahan hai
Hastay hain ridaaon ko wo naizo pay saja kar

Lagta hai kay zindaan mein meri aakhri shab hai
Rotay hain mujhy dekh ke Sajjad aur Baqir