Hurr Party 2010
Baba ke baad tu sehti rahi jafa ay umme abiha ya zahra
Ummat nabi ke baap hi aale nabi se phir gayi Haq ghasibon se maangne darbaar me khari rahi Ghutla diya tujhe haq bhi nahi diya
Dewaar o dar ke darmiyan tori gayi hai pasliya Mohsin shaheed hogaya tujh ko wo keh saka na maa Itne sitam ke baad bhi shikwa nahi kiya
Uthta tha ehteraam me tere liye mera nabi Tatheer ki sanad tujhe quran me khuda ne di Lekin yahan tera samjha na martaba
Is dar pa aake mout bhi aaghe kabhi nahi barhi Jibreel sa malak raha deta hai roz hazri Haaye wo ghar tera kisne jala diya
Manzar tumhari mout ka bhoole ga kaise ye jahaan Bibi teri gharibi pe rota rahega aasmaan Taboot raat me bibi utha tera
|