Amma Ghareeb hun, haan me ghareeb hun
Efforts: Tatheer Rashid

Amina Ahsan 2019

Amma, Haaye Amma, meri amma meri amma
Amma Ghareeb hun, haan me ghareeb hun
Koyi nahi hai moat ke bilqul qareeb hun

Bache tarap rahe hai, wafadaar mat gaya
Zainab ki aas fouj ka, sardaar mar gaya
Haye haye mera jawaan, alamdaar mar gaya

Amma me imtehan ki hadon se guzar chuka
Seene me naujawaan ke neza utar chuka
Athara saal ka mera Akber bhi mar chukka
Zakhmon se khoon tapakta hai, amma me kya karun
Amma sunaon haal, kise kis se kya kahun
Sab laal mere mar gaye, kis ke liye jiyun

Gera hai zalimon ne shahe mashraqain ko
Bechain kar diya hai, Mohamed ke chain ko
Zakhmi kiya hai aap ke bĂȘte Hussain ko

Barsa ke teer kar, te hai Shabbir ka adab
Chalni badan hai neza o Shamsheer ke sabab
Zakhmo peg arm rait koyi daalta hai ab

Mil jaayega sukoon agar rakhlo ghod me
Duba huwa hai khoo me magar rakhlo ghod me
Ek baar phir Hussain ka sar rakhlo ghod me

Haaye shajar wo waqt qayamat ka waqt tha
Khanjar gareb bĂȘte ki, garden pe jab chala
Sarwar ke lab pe ek jumla rawaan raha