Alwida haaye hussain Alwida jaa rahi hai behen alwida (Lo chali shaam ko, aake rukhsat karo) Haathon me hai rasan alwida
(Tere laashe pe ansu baha naa saki Aur tujh ko gale se laga naa saki) (Shaam ki qaid se aaungi laut kar) Khud karungi dafan alwida
(Na hai abbas ab aur na akbar jawaan Saath sajjad bemaar hai natawaan) (Bas khuda jaane kaise kate ga safar) Marhala hai katan alwida
Kaise tanha tujhe marne chore behen Sar sina pe hai aur khaak par hai badan (Bas isi baat ka kha gaya gham mujhe) Ay gareebul watan alwida
Ab mera kiya raha gar ko jaun agar Mere akbar aur qasim sabhi hai itha (Aur sughra ko ro kar bataungi me) Mera ujar sehan alwida
Tere maqsad ko pura me karne chali Saath uryaano ke parh ke nade ali Hai salaam aakhiri mohsin o kibriya Aur tashna dahan alwida
|