Rubab Roti Rahin (Urdu)
Efforts: Isha Haider Hasnain



Writer Syed Zeyaul Hasnain

Rubab roti rahi”n aur yay bayn karti rahin
Mera bacha hay tapti reti pay layta soya x 2

1) Hussain laykay chalay nanhay Asghar ko,
Na maaro teer isay yay abhi hay chay maaha,
Pilaado paani ki boondayn isay yay bacha hay x 2

Rubab roti rahi”n...

2) Hussain bachay ko reti pay rakh kay kehnay lagay,
Pilado pani isay iski hay koi na khata,
Yay jo bacha hay teen din ka hay bhooka pyaasa x 2

Rubab roti rahi”n...

3) Galay may teer chida phir bhi aik uff na kahaa,
Hussain laashay ko laykar chalay jo khaymay jahaa,
Sakina dekh kay bhai ko sar patakti hay x 2

Rubab roti rahi”n...

4) Ajeeb khaymo ka manzar hay aik udaasi hay,
Zibaah hua hay wo bacha ki jiska sin kam hay,
Kya itnay chotay say bachay bhi qatl hotay hayn x 2

Rubab roti rahi”n...

5) Parhu jo bayn yay Asghar ka dil yu phatta hay,
Likha jo manzar jo Zayaul nay kalam rukta hay,
Har aik matami daste ki aankhay yu nam hay.

Rubab roti rahi”n...