Yeh meri aakhri shab hai Sakina ney kaha Bhayya Mujhey Baba ka Sar Laado
1. Sakhi key Laal ho yeh aakhri Khwahish na rad karna Tumharey Ghar ke Shewa Ghareeboon ki Madad karna Sawali hai Jaley Daman ko Phelaye hoye Dukhiya
Mujhey Baba ka Sar Laado
2. Padar key baad Beti ka tamachoon per guzara hai Bataoon gi unhein shimr-e-laeeeen ney kaisey mara hai Zara nazdeek sey aa kar woh Mera dekh lein Chehra
Mujhey Baba ka Sar Laado
3. Ajab halaat mein dekha tha Sar-e-Darbar Baba ko Nahin Pani mayassar qaid-khaney mein Sakina ko Mein apney Aansoon sey dhooon gi Mazloom ka Chehra
Mujhey Baba ka Sar Laado
4. Mein royee jab Padar ko shimr ney badla liya Tum sey Kasam hai Mujh ko Baba ki Mera wada raha Tum sey Sakina na ab na roye gi Na ab khao gey Tum durra
Mujhey Baba ka Sar Laado
5. Zubaaaan hai khushk itni baat karna mujh pey bhari hai Tumhein maloom hai Bhai Sakina kab sey pyasi hai Magar karti nahin Dukhiya taqaza Tum sey Pani ka
Mujhey Baba ka Sar Laado
6. Padar ka dekh kar Chehra Sada bedaar hoti thi Shab-e-Ashoor tak Un ki ziyarat kar key soti thi Zara dekho in aankhoon ney Unhein kab sey nahin dekha
Mujhey Baba ka Sar Laado
7. Pareshaaan hoon agar koi Tasalli detey jatey hein Suna hai martey dam apnoon sey milney ko woh aatey hein Hai mujh pey Nazaa ka aalam chali Mein chor kar duinya
Mujhey Baba ka Sar Laado
8. Takallum Sar jab aaya Qaid Khaney mein qayamat thi Adhori reh gayee batein hoyee khamosh Shehzaadi Faza mein Gonjta hai Shadmaan ab tak yehi Noha
Mujhey Baba ka Sar Laado |