Shabeeh e Payambar Akbar zibah ba maidan
Efforts: Syed Abul Hassan Jafri & Syed Sohail RazaSHABIHE PAYAMBAR AKBAR (x 2)
ZIBAH KA MAIDAN

SHAH KA DILBAR AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN

1) YEH SIBTE PAYAMBAR KI LAILA KI KAMAYI HAI (2)

KYA MAADARE AKBAR NE TAQDEER YEH PAYI HAI(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN

2) JO NAAZOON KA PAALA HAI ATHAARA BARAS WALA(2)
LAILA KA DULARA HAI ATHAARA BARAS WALA(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


3) SOCHA BHI NA THA MAA NEY YEH DIN KABHI AAYE GA(2)
MARNEY KE LIYE AKBAR MAIDAN MEIN JAAYEGA(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


4) KHAYE GA KALEJEY PAR JIS WAQT SINA AKBAR(2)
YEH TERI KHABAR SUN KEY MAR JAYE GI MAA AKBAR(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


5) JATA HAI JO MAQTAL MEIN WAPAS WOH NAHI AATA(2)
TAQDEER DIKHAYE NA AKBAR KA KAHIN LASHA (2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


6) AKBAR TERI SHAADI KA ARMAAN THA KHWAHAR KO(2)
POSHAAK SHAHANI WOH PEHNAYE BARADAR KO(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


7)PEERI HAI NAKAWAT HAI AUR SIBT-E- PAYAMBAR HAI(2)

FARZAND KI MAYAT HAI AUR SIBT-E- PAYAMBAR HAI(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


8)PHIR KAUN BACHAYE GA KARTHI THEEN BUKA MADAR(2)
CHINEY GEY LAEEEN AA KEY JAB SAR SEY MERE CHADAR(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


9) AKBAR NEY DAM-E-RUKHSAT JEENEY KI DUAYEIN LEEN(2)
AUR KAANPTEY HATHOON SEY ZAINAB NEY BALAYEIN LEEN(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


10)BETA NA KISI KA YOUN MAR JAYE JAWANI MEIN(2)
MATAM KI SADAYEIN HEIN DARYA KI RAWANI MEIN(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN


11)ZEHRA KI INAYAT HAI PADHTA HAI NAQI NAUHA(2)
HUM SHAKL-E-PAYAMBAR KA SHABBIR KO HAI PURSA(2)

KHAIMOON MEIN BAPA MATAM(2)

AY MERA JAWAN AKBAR

ZIBAH KA MAIDAN