Wa waila haey wa waila
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Wawaila haey Wawaila

Wawaila haey Wawaila (x4)

1) Dukhtar-e-Shah-e-La Fateh Zainab (x2)
Bani-e-Majlis-e-Aza Zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)

2) Leh-jaye sher-e kibriya zainab Wawaila
Fatema akse aa-ena zainab Wawaila
Ye jo majlis hai ye jo matam hai
ba khuda hai teri dua zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)

3) Naam-e-shabbir or aap ka naam Wawaila
Kaise me likhu juda juda zainab Wawaila
Leliya intikaam bhayi kaa
kehti hai majlise azaa zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)

4) Hur alaihissalaam kaysay huwa Wawaila
Bus teray dar pe agayaa zainab Wawaila
Tujko kehte hai saa-niyae zehra
Chahiye tujko aur kya zainab.
Wawaila haey Wawaila (x2)

5) Baad zehra kay mai samajta hu Wawaila
Hay tuhi ashraf-un-nisaa zainab Wawaila
Warise teg hyderi shabbir,
or tu warise kissa zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)

6) Karbala alqama me beh jati Wawaila
Gar na hoti teri ridaa zainab Wawaila
Syeday sajideen ko tu nay
Har qadam baksha hosila Zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)

7) Jis dilo karti hai Hussain Hussain Wawaila
Usse roshan hai wo diya zainab Wawaila
Kismate din la illah shabbir
Daulate deen mustafa zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)

8) Shaam ka waqt hogaya roshan Wawaila
Teri aamad se sayyeda Zainab Wawaila
May to "Rehan Azmi" kya hun
Deen ko hay tera aasra zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)

Dukhtar-e-Shah-e-La Fateh Zainab
Bani-e-Majlis-e-Aza Zainab
Wawaila haey Wawaila (x2)