Ay ahle jafa, ay ahle jafa Sookha hai gala, mera jurm hai kya Hayee Sakina, Hayee hayee Sakina
Nanhi Zahra hun zara samjho aise na maaro, aise na maaro Khud main deti hun tumhe nocho na yun meray gohar
Mujhko itna to bata do kay bigara kya hai Aik beemar siwa mera sahara kya hai Mere sadmon nay jhuka di hai jawani mein qamar
Main to kehti hun zibah kar ke sina le aao Mujhko manzoor hai Baba say aisay milwao Sath Baba kay karun gi main khushi se ye safar
Kya Khuda nay nahi di tumko koi aulaadein Apne bachon ki suni tu nay nahi hain aahein Isliye hota nahi meray ye ronay ka asar
Kahan sina ki ye nokein kahan masoom si jaa Main kahan tak bhala dorun gi in kay sath yahan Beth bhi sakti nahi teray tamachon ka jo dar
Harf saray hi salamat ke yun dam tor gaye Teray zakir ki tarah jo bhi jahan chor gaye Dena mehshar mein inhe apni azaa ka tu samar |