Nana teri Zainab aa gayee hay (x4) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x3) 1) Darbaron mey baazaron may (x2) Teray deen ki aan bacha gaye hay (x2) Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
2) Ye neel rasan ke shaano par Ye khaak-e-balaa mere baalon par (x2) Nana, meri hasti khaak banaa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
3) Ye khun ke chinte chadar par Lipti thi may laashe Akber par (x2) Nana, ik barchi dil mera khaa gayi hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
4) Halqe jo paray hain aankhon may Khun roti rahi hun raahon may (x2) Nana, ab aankh meri pathra gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
5) Kaanton pay kabhi angaaron may May chalke gaye baazaaron may (x2) Nana, yun mujhpe zaeefi chaa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
-------6) Ik rassi may baara the galay Baazu bhi pase gardan thay bandhay (x2) Nana, ummat ye qayamat dhaa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
-------7) Girte rahay bachay unton say Phainkay gaye pathar kothon say (x2) Nana, khud mout meri gabraa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
8) Neend ati nahi jis bachi ko Kehti thi phuphi ab ghar ko chalo (x2) Nana, zindaan ki zamin use khaa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
9) Parday ka muhaafiz tha Ghazi Tasweer tha meray baba ki (x2) Nana, use raas taraaye aa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
-------10) Tumse thi ijazat leke gaye Kis haal mei dekho ab aaye (x2) Nana, ab meri qamar kham khaa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
11) Karti hun sawal ye ab tumse Be parda kabhi dekha tha mujhe (x2) Nana, kyun kabr teri tharra gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
12) Do laal fida bhai pe kiye Bhaai pe ridaa bhi ki sadqay (x2) Nana, Zainab ki ridaa kaam aa gaye hay Nana teri Zainab aa gaye hay (x2) Nana teri Zainab lut ke aa gaye hay (x2)
|