Hasil hai sharaf Panjtan(as) ke ghulamon ko anokha Kartay hain ghulaam in kay faqeeri mein bhi shahi Shehan shahi se bhi keemti hai Habsh ko chor kar us se moo mor kar Sayeda(sa) ki Ye jo Fizza(sa) ne ki nokri hai
Dehar mein dekh lo har jagah par Bohat mashoor inki wafa hai Ek Hain Abbas(as) aur Paak Fizza(sa) Farq in mein bhala kaun sa hai Mujhse pucho to falq-e-wafa ka Ek hai chand aur ek chandni hai
Ashq beh beh ke ye hain batatay Ye maqam-e-aqeedat hai kaisa Koi duniya mein mujhko bataye Martaba hai mila kisko aisaa Usko kis naam se main pukaron Jiskay daman mein Zainab(sa) pali hai
Seh ke koi dikhaye zara ab Is ne mushkil jo sar pe sahi hai Karbala ho ya shaam-e-ghareeban Har jaga sath hi ye rahi hai Jis say bandhi thi zalim ne Zainab(sa) Us rasan se Fizza(sa) bandhi hai
Ja rahay ho magar yaad rakhna Be ijazat lehad mein na jana Roub un pe na hargiz jamana Baat kartay huay sar jhukana Dar haqeeqat wo meray Nabi(saww) ko Fatima(sa) ki tarah ladli hai
Humne dekha wahan humse pehlay Ambiya sar jhukaye huay hain Sakht parda hai lautay hain foran Unke mehmaan aye huay hain Le kay beton ko Fizza(sa) se milnay Lehad mein Fatima(sa) agayi hai |