Hogaye rukhsat jahan se momino Mola Naqi ع Aaj phir sadaat ke ghar hai saff-e-matam bichi
Kat gayi ro ke jawani Sammara ki qaid mein Yaad kar kar ke aseeri Sayed-e-Sajjad ع ki
Sar mein hai khaak-e-yateemi kartay hain matam Hassan ع Zehar se Baba ki zindaan mein shahadat hogayi
Gulshane Aal-e-Nabi par hai udaasi chah gayi Agaya zad mein fiza ki hai Gul-e-Baagh-e-Taqi ع
Pee liya jamay shahadat ay meray dasway Imam Baksh di Islam ko yun aap ne hai zindagi
Ho Naqi ع ke qatilon par har ghari Allah ki lanat Ban gaye Mola ع ke qatil hashr tak hai lanti
Yun uthi Jawad mayyit Shah ki pardes mein Khud qaza taboot par hai askh barsaati rahi |