Haey lahoo se ho gaya mehnga Nehr ka pani maqtal may Subha se le kar asar talak thi Khoon ki rawani maqtal may
Tera bras ki haey jawani Jan e Hasan ko ras na aayi Khak may mil kar reh gaya aakhir Yousaf e sani maqtal may Haey lahoo se ho gaya mehnga Nehr ka pani maqtal may
Deen ka alam sahil pe saja kar Tashna labi pani ki bujha kar So gaya apnay hath kata kar Jafar e sani maqtal may Haey lahoo se ho gaya mehnga Nehr ka pani maqtal may
Sheh ne kaha aey raj dularay Tu hay kahan baba ko bata day Mera burrhapa dhoond raha hay Teri jawani maqtal may Haey lahoo se ho gaya mehnga Nehr ka pani maqtal may
Saqqa haram aey nasir e Sarwar Taigh chali jab sookhay galay par Ki hay falak ne khoon barsa kar Ashk fishani maqtal may Haey lahoo se ho gaya mehnga Nehr ka pani maqtal may
Fikr e Mujeeb aur lehn e Taqi hay Gham ki nadi ankhon may dhali hay Tashna labon par hoti rahay gi Marsiya khawani maqtal may |