ya musa e kazim, haye haye imam kazim imam kar kar ke yaad sakina ko baghdad ka qaidi rota hai
bazar-e-shaam hai aankhon may sajjad ka lab par nauha hai kar kar ke yaad...
khud qaid jahan par kazim hai har din hai raat ke jaisa zindaan hai ye bhi tang magar har raat raza ka baba zindaan-e-shaam jo yaad aaye deewar se sar takrata hai kar kar ke yaad...
hai door nigahon se lekin iska bhi jawan hai beta jab yaad raza ki aati hai rukh karke karbobala ka zakhmi akbar ke seene ke nazron se bosay leta hai kar kar ke yaad...
jab shaam ke saaye badte hai badti hai sadaye girya ek dard sa dil may uth-ta hai kehte hai tadap kar maula hai saath raza ke masooma zindaan may sakina tanha hai kar kar ke yaad...
mazloom paraye des may hai dhaaras hai dil ko phir bhi mil jayega mujhko ghusl-o-kafan basti hai musalmano ki mazloom hussain ki ghurbat par dil khoon ke aansoo rota hai kar kar ke yaad...
hai chauda baras se qaid magar phir bhi wo yehi hai kehta abid ka ruku aur mera ruku ek jaisa nahi ho sakta mai tanha hoo wo maa behne bazaar se lekar guzra hai kar kar ke yaad...
mazloomi matam karti hai padhti hai ghurbat nauha wo jiske dada ko aakar jibreel jhulaye jhoola laasha uska mazdooro ne baghdad ke pul par rakha hai kar kar ke yaad...
baghdad ke qaidi ne har dum abid pe kiya hai girya lekin akbar is ghurbat par sajjad bhi rota hoga zanjeero may tha jakda hua jab kazim ne dum toda hai kar kar ke yaad... |