Sar e Abbas (a.s)
Abbas haye abbas haye abbas Abbas haye abbas haye abbas Abbas haye abbاس Sar e abbas ata hai Sar e abbas ata hai Sar e abbas ata hai
Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
Bula lain Sakina (a.s) ko bula lain Sakina (a.s) ko Koi zindaan say jakar sar e abbas ata hai
Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
1. Yeh ghairat ka khuda hai Iski ghairat Ka taqaza tha Khula sar dekh kay naizay say jo yeh Sar girata tha Aray nahi hai pas gar chadar To rakh lo hath hi sar par Sar e Abbas (a.s) ata hai Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
2. Bhara hoga laho ankhon may uski Khud hataon gi May bachpan ki tarah say bhai ka Chehra dholaon gi Agar mumkin hai to deday Koi pani mujhay la kar Sar e Abbas (a.s) ata hai Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
3. Haye, mujhay uthna paray ga bibion Tazeem ko uski May ma ummul baneen (a.s) ki simt say Ghazi (a.s) ko chumo gi Aray sambhaly sar Koi Aoun o Mohammad kay Yahan a kar Sar e Abbas (a.s) ata hai Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
4. Issi ehsas say usnay nazar Apni ghukai hai Ussay maloom yeh kitna Ghairatmand bhai hai Chupaiy kis tarhan Zainab (a.s) Paray hain neel shanon par Sar e Abbas (a.s) ata hai Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
5. Mila pani ussay pocha to Kiya batlai gi Zainab (a.s) bhala uski bhatiji ko kahan say laiay gi Zainab (a.s) aray nigahain uski dohnday gi Sakina (a.s) ko yahan akar Sar e Abbas (a.s) ata hai Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
6. Kay sab ki jholion may apnay apnay Ladlon kay sar Rukkaiya, Umm e Laila, Umm e Farwa Madar e Asghar Uthi kehtay huay har ma Sar apnay lal ka rakh kar Sar e Abbas (a.s) ata hai Kaha Zainab (a.s) nay yeh ro kar Sambhalo bibion chadar Sar e Abbas (a.s) ata hai
7. Takkalum shamion ki aurtain bhi Roti jati hain Haye Ali (a.s) ki betian Jaldi say zakhmo Ko chupati hain Khari hai hath phailaiy huay khud Zainab e Muztar (a.s) Sar e Abbas (a.s) ata hai Sar e Abbas (a.s) ata hai
|