Rozay pe Mustufa ke udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai Arey ro ker pukari nana main faryaad laai hoon Main chhor kar hussain ko jungle main aai hoon Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Nana ajeeb sanahey ham per guzar gaye Ranj o alam ney gheyr liya ham jidher gaye Nana khuda key ghar main na hamko amaan mili Bhai ne shehr chhor ke jungle ki raah li Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Nana hamaray ghar ka sab asbaab lut gaya Nana hamaray sar pe na baqi rahi rida Nana hazaar tarha jafa ki laeenon ney Khaimon main haaye aag laga di laeenon ney Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Nana shaheed ho gaye bhai key jaan nisaar Ek ek kar key mar gaye ashaab-e-zi waqar Nana bala key ban main qayamat ka run para Bhai sey bhai baap sey beta bichher gaya Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Nana zameen-e-karbobala laal ho gai Qasim ki laash ghoron sey pamaal ho gai Nana katta ker shaanon ko abbas mar gaye Ghurbat main bhai jaan ko bey aas kar gaye Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Nana aseer barah they aur aik thi rassan Bandhay gaye they misl-e-gunahgaar khasta tan Nana ham apney haal pe rotay they baar baar Nana hamarey haal pe hastay they bad shiaar Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Itnay main aik shaami ney nana ghazab kiya Syedani ko kaneezi main ussney talab kiya Hoti theen laakh zillatain ham deykhtey rahay Hass hass key taziyaney sitam jhheyltay rahay Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Nana tabah ho ke ham aaye hain shaam sey Ek dagh-e-nou sakina ka laaye hain shaam sey Ab tak hain neel rassi key shaanon ko deykh lo Nana hamaray tan pe nishanon ko deykh lo Rozay pe mustafa key udasi see chhai hai Kunbay ko kho key Zainab-e-nashaad aai hai
Zainab jo ro ke karti theen qabr-e-nabbi pe bain Tharra raha tha roza-e-sultan-e-mashraqain Bus khatam kar nisaar ye ghamnaak dastaan Roye hain iss alam main zameen aur aasmaan
|