Allah, allah, allah Allah, allah, allah, allah.. Ya maliko, ya khaliqo, ya batino, ya zahiro Ya qadiro, ya hakimo, ya momino, ya hadiyo Ya awwalo, ya akhiro, ya qaimo, al nafio Allaho qabla kullo shay Allaho bada kullo shay Yeh kehke haider ne.. Yeh kehke haider ne, Sajde mein rakhi peshani Allaah...Allah Allaho baqi min kulle faani..
1. Rab ka irada haider aur uski marzi bhi Iske haathon ne gundhi adam ki matti bhi Iske bachon ke naukar, jannat ke darzi bhi Ya rabbe zuljalal.. Har jumla haider ka.. Har jumla haider ka, is misre ka hai saani
2. Haathon se marna baante, thokar se jeena bhi Marhab ke tukde karde, dharti ka seena bhi Khud hai manshoore yazdaa, uski kapina bhi Ya rabbe zuljalaal.. Dawaa salooni ka.. Dawaa salooni ka, aur phir bhi baat ye maani
3. Khud hi quraan e natiq, aur khud hi qaari hai Iske haathon ki khilqat, ye duniya saari hai Fuzto be rabbil kaaba, ye hamd e baari hai Ya rabbe zuljalaal.. Kehdi do lafzo mein.. Kehdi do lafzo mein, thi baat badi toolani
4. Chalta hai mera sikka arz o sama par Mai to rahunga zinda, hukme khuda par Mujhpe qaza gir jaye, ya mai qaza par Ya rabbe zuljalaal.. Ye sunke haider se.. Ye sunke haider se, duniya ko hui hairani
5. Ek din nuseri bola, kyu mujhko maara hai Jo kuch aankhon se dekha, maine wo bola hai Meri socho ka malik, iske hi jaisa hai Ya rabbe zuljalaal.. Ye hamd e baari hai.. Ye hamd e baari hai, haider ki qasida khwani
6. Nafse khuda bhi haider, aur iska pehlu bhi Wo hai hijab e akbar, wird e allahu bhi Maana hai waliyon ne bhi, kehte hai sadhu bhi Ya rabbe zuljalaal.. Samjha na koi isko.. Samjha na koi isko, baat hai ye irfani
7. Karbobala se pucho, is jumle ka matlab Sukhe kooze dikhlake, kehdenge tashna lab Besar laashe bolenge, ya phir bibi zainab Ya rabbe zuljalaal.. Zere khanjar kehdega.. Zere khanjar kehdega, karbobala ka baani
8. Kulle eemaan ki baatein, eemaan hai mazhar Isme hai hami tera, irfan e haider Ye baatein karte hai hum, mimbar pe jaakar Ya rabbe zuljalaal.. Han ishq e haider ne.. Han ishq e haider ne, haider ki baat hai maani Allaho baqi min kulle faani.. Ya rabbe zuljalal..
|