Waqia ranj-o-masaaib ka bayan karta hun Koofioo nay jo kye zulm ayaan karta hun Jis ghari koofay main muslim(a.s.) Nay shahadat pay Un kay do baiton ki qismat main yateemi ay Baap kay marnay say dushman ki jo haibat chaay
Dar kay jhaari main chupay akay woh dono bhai Haay is umr main maasoomo pay kaisay baidaad Dil main ghum aankho main aanso they laboo per faryad Kehtay hain jhaari kay nazdeek thi ek nehar rawaan Londi haaris ki jo pani kay liye aay wahan
Sun kay ronay ki sada hogaye dil main hairaan Barh kay dekha tu nazar agay bachay do nehaan Boli kyun rotay ho ghum kia hai pisar kis kay ho Chup kay kyun bethay ho tum nor-e-nazar kis kay ho Dekh kar meharbaan aurat ko woh bolay ro kar
Haay kis tarhan kahain kis kay hain hum noor-e-nazar Yeh mohammad kay nawasay hain tum Muslim k pisar Lut gaye hum kay yahan maara gaya apna padar Koofi dushman huay qismat main siyaahi aay Haay pardais main kaisi tabahi aay
Londi ghar lay kay unhay agayee baa deday num Apni bibi say kahi bacho ki rudaade ilam Dekh kay bacho ko bibi ko huwa behad ghum Boli afsoos kay masoom pay yeh zulm-o-sitam Kitne bay dard sitamgar hain yeh kofay walay
Un pay kartay hain sitam jo hain nabi(s.a.w.w.) Kay paalay Khana khiwaa kay unhay bibi nay poshida kya Raat ko haaris-e-bad zaat jo ghar ko aya Bola bivi say bohot thak gaya tu khanay ko laa Subha say bacho ko muslim(a.s.) Kay main har so dhoonda
Hath ajay agar bachay to inaam milay Zaro jaagir milay rutba milay naam milay Khaa kay yeh khanay ko phir beth gaya woh khud sir Bachay they nend main khoy huay hujray main udhar Haay qismat kay unhay khuwaab main yeh aaya nazar
Saamnay khoon main dooba hai khara un ka padar Cheekh uthay khuwab main yeh dekh kay dono bhai Kaan main haaris-e-malaoon kay aawaz ay Hogayee haaris-e-bad zaat ko jab uski khabar Khench kay bacho ko hujray say woh laaya baahar
Jabkay maloom huwa dono hain muslim(a.s.) Kay pisar Tegh uthai kay karay tan say juda bacho kay sir Haath ko thaam kay bibi nay kaha ooh zaalim Yeh aulad-e-nabi(s.a.w.w.) Baap hai in ka muslim(a.s.) Jhatka maara to hui zakhmi giri bay chaari
Londi nay rouka to talwaar usay bhi maari Bachay kartay hi rahay minnatain aaho zaari Reham aaya na usay josh tha us per taari Bola main qatal karunga tumhay paonga inaaam Aehl-e-koofa main barhay gaa mera rutba mera naam
Chota bola yehi marzi hai to pehle mujhe maar Or bara kehta zaalim mera sir pehle utaar Haay bay dard nay jo khench kay maari talwaar Laashain jab tarpeen to tharray zameen bhi ek baar Aasmaan ro dya bacho nay shahadat paay Haay Zehra Kay gulistaan pay tabahi aay
Sun kay yeh ghum ki khabar khuld say aaen Zehra Mayail e seena zani honto pay thi aah-o-buka Pohnchi jab nehar kay nazdeek to ghum or barha Nehar main bacho kay laasho ko jo behtay dekha Rokay kehti thi sitam kaisa yeh aflaak huwa Haay is ghum say Mohammad Ka jigar chaak huwa
|