Jab karbala ki simt barha haq ka rehnuma Kuch agaya hayal jo maan kay mazar ka Aya soy baqeh woh Zahra Ka laadla Rukhsaar rakh kay sadr-e-lahad par yeh di sada Chut ta hai ab madina meray dil ko thaam lo Ammaa ghareeb betay ka aakhir salam lo
Ammmaa tumharay laal say chut ta hai aaj ghar Ammmaa tumharay laal say bar gashta har nazar Ammmaa tumharay laal ka dushman hai har bashar Ammmaa tumharay laal ka hai aakhri safar Sehra main dil kay tukro ki basti basay ga Ammmaa Hussain Ab na madinay main ay ga
Maan say yeh keh raha tha abhi maan ka laadla Awaz ay qabr say ay meray mahlaqa Sadqay teray museebat-o-ghurbat kay fatima Bas ay Hussain Bas kay hila arsh-e-kibriya Tarpay abul hassan Bhi dil-e-bay qarar say Beta Rasool-e-haq nikal ay mazar say
Ay meray laal Teray iraadon kay main nisaar Yeh aakhri safar hai meray dil ka iztarar Kaisay kahon jo dil pay guzarti hai gulazaar Hota hai bay cheraagh meray baap Ka mazar Jo tujh pay zulm hongay yeh dukhya uthay ge Beta yeh ghum naseeb teray saath jay ge
Aanso bahaongi teray ranj-o-alam kay sath Aankhain bechaongi teray naqsh-e-qadam kay sath Zehra Nidhaal hogi har ek taza ghum kay sath Mera kalaija niklay ga akbar Kay ghum kay sath Ghabra na meray laal Har ek dukh bataongi Main teray sath laashay akbar Uthaongi
Jay ga tu jo nehar pay bhai Ki laash per Main teray sath sath chalongi barehna sir Beta Hussain Kia tujhe is ki nahi khabar Abbas Tera bhai to mera dil-o-jigar Tu laash lay ga tu safay ghum bechaongi Main goud main katay huay haatho ko laongi
Beta hassan Kay laal ki khaatir yeh kia malaal Meray hassan Nay tujh pay nichaawar kia woh laal Fidye kay waastay koi karta hai yun malaal Beta Main us ghari bhi rahungi shareek-e-haal Ghum hai qadam utha kay dil-e-paash paash kay Tukray chunungi ran mai main qasim Ki laash kay
Haan meray laadlay meri zainab Say hoshyaar Bay parda ho na jay kahin meri parda daar Mehmil kay sath sath hoon abbas Zee wiqaar Taqeed ho yeh akbar-e-mehro ko bar bar Aamada har qadam pay rahay peshwai ko Takleef ho na raah main zehra Ki jay ko
Ja marqad-e-rasool(s.a.w.w) pay ay meray laala faam Laazim hai nana jaan(s.a.w.w) ko bhi aakhri salaam Dena meri taraf say yeh hasrat bhara salaam Mumkin nahi madinay main zehra Karay qayaam Tum bhi laho main apna chaman dekhnay chalo Zaineb Kay bazoon main rasan dekhne chalo
|