Aye alamdar e man
Efforts: Syed-Rizwan Rizvi

Ya Abbas
Aye alamdar-e-man aye sipah dar e man
Aye wafadar e man aa main ho gaya tanha
Waqt-e-madad hai bawafa darya pe ab sota hai kiya
Hal min ki deta hoon sada sun aye sakina ke chacha

Aye merey bawafa aye merey dil ruba
Aye merey meh laqa aa main ho gaya tanha
Ya Abbas
Aye alamdar-e-man aye sipah dar e man
Aye wafadar e man aa main ho gaya tanha
Ya Abbas

Aa deykh meri zindagi dard o alam main ghir gai
Zakhmi hua raah waar bhi barhney lagi hai tishnagi
Tu ney rakha bharam har ghari har qadam
Phir uthha ley alam aa main ho gaya tanha
Ya Abbas
Aye alamdar-e-man aye sipah dar e man
Aye wafadar e man aa main ho gaya tanha
Ya Abbas

Laashey uthha kar thak gaya poocho na kaise dar gaya
Abbas phir main gir gaya samjhi behan main mar gaya
Haaye kiya reh gaya ho gai inteha
Maan-e-mushkil kusha aa main ho gaya tanha
Ya Abbas
Aye alamdar-e-man aye sipah dar e man
Aye wafadar e man aa main ho gaya tanha
Ya Abbas

Bhayya mujhey ye hai khabar bey dast tu hai khak per
Phir bhi magar koshish to kar aa ja tarraai chor kar
Terey bazoo qalam khoon main dooba alam
Hai sakina ko gham aa main ho gaya tanha
Ya Abbas
Aye alamdar-e-man aye sipah dar e man
Aye wafadar e man aa main ho gaya tanha
Ya Abbas

Khanjer taley sar hai mera zalim hai seeney per charha
Thi sarwar o rehan ye moula-e-be kas ki sada
Aa merey bhai aa keh raha hai gala
Aakhri hai sada aa main ho gaya tana
Ya Abbas
Aye alamdar-e-man aye sipah dar e man
Aye wafadar e man aa main ho gaya tanha
Ya Abbas