Haey Sajjad ki tanhayi pe rona aaya
Shor e matam tha idhar aur hastay thay Khaimay jaltay thay idhar bajay udhar bajtay thay Waqt ko zulm ki shehnai pe rona aaya Haey Sajjad ki tanhayi pe rona aaya
Ik rasan bara galay aur wo aseeron ki qatar Shimr ka panja Sakina ke wo nazuk rukhsar Natawan bhai ko ma jayee pe rona aaya Haey Sajjad ki tanhayi pe rona aaya
Poocha Zainab ne ke kyun rotay ho bolo bhayya Ayi aawaz ye bazaar e sitam hay behna Bhai ko yun teri ruswayi pe rona aaya Haey Sajjad ki tanhayi pe rona aaya
Jab sina par sar e Shabbir ko rotay dekha Ro ke rahib ne kaha kash may andha hota Aaj in ankhon ko beenayi pe rona aaya Haey Sajjad ki tanhayi pe rona aaya
Uthay Sajjad jo dafna ke behan ka lasha Asmaan roya zameen royi zamana roya Qaid khanay ko bhi is bhai pe rona aaya Haey Sajjad ki tanhayi pe rona aaya
Bolay Maqbool o amanat se tarrap kar ye Mujeeb Pusht par korray barasatay hi rahay haey naseeb Jab bhi Zainab ko gham e shah may rona aaya Haey Sajjad ki tanhayi pe rona aaya
|