Ye namaz ye kalma, La ilaha il Allah
Zulm ke andheron may, deen e Mustafa jab tha Sar chupanay ko Islam, dar ba dar bhatakta tha Tu ne rasta bakhsha, la ilaha il Allah
Haq ki rah me apna, tu agar na sar deta Is ka naam dunya may, koi bhi nahi leta Teray dam se hay Mola, la ilaha il Allah
Torrta tha dam haey, ran may gulbadan tera Lut raha tha ankhon ke, samnay chaman tera Aur teray lab par tha, la ilaha il Allah
|