Amma ki nigaho se mera zakm chupana Baba mere seene may sina toot gayee hai
is tarha kaleje may utar aayi hai barchi seena nahi armaan bhi maa ke hue zakhmi chaha tha meri maa ne mujhe duklha banana baba mere seene....
jee chahta hai aap ki tasleem ko uthun rutbe ka takhaza hai ke tazeem ko uthun mushkil hai magar haath kaleje se hatana baba mere seene....
mai jaanta hoo zid wo bahot tumse karegi tanha tumhe zainab kabhi aane nahi degi maqtal may meri paalne wali ko na laane baba mere seene....
ye soch ke akbar ka phata jata hai seena awaaz na sunle kahin masoom sakina sajjad ko aahista zara jaake batana ke baba mere seene....
allah kare laut ke tum jao watan ko majbooriyan bhai ki batadena bahan ko tum meri taraf se usay seene se lagana ke baba mere seene....
qaatil ne sina todi takallum yehi kehkar sunta hai ke saabir hai bahot sibte paymabar akbar ne kaha sabr ki meraj dikhana ke baba mere seene. |