Bolo ahle aza Fatima Fatima Mar gayi Syyeda Fatima Fatima
shor girya hai aaj, aale-athaar may haaye kya hogaya fathima fathima bolo ehle azaa...
hai sirahnay ali, painti betiyaan hai nabi ki sada fathima fathima bolo ehle azaa...
maa ke laashay se hai, bete lipte huye hai qayamat bapa fathima fathima bolo ehle azaa...
haye baad-e-nabi, zulm kya kya hue aag aur ghar tera fathima fathima bolo ehle azaa...
dar giraya gaya, pehlu-e-paak par tujpe aur yeh jafa fathima fathima bolo ehle azaa...
khatl mohsin hua, badn-e-athar may zulm kaisa hua fathima fathima bolo ehle azaa...
haaye kya kya sitam, besabab seh gayi ay khuda ay khuda fathima fathima bolo ehle azaa...
mustarib hai nageen, waqt-e-imdaad hai hai tera aasra fathima fathima bolo ehle azaa.. |