Poonchay sirhanay bhai kay jab shah-e-Karbala Ghazi nay apni aakhri saanson may di saada Mola (x2) Mola maa Ummul Baneen say mat kehna. Sharminda Sakina, say hu bahot May paani lekar aa nah saka. 1) Maa nay jo sikhaye bachpan may Woh yaad hai saab aadaab mujhe Nazdeek kharay rehna us ja Shabbir jahan baithay jaakay Is waqt magaar khadim tera Taazeem ko teri uth na saka. 2) Haar laash peh girr kay kehte tay Kya tum hi Ali kay betay ho Maloom hai kitni mushkil may Khaimo say yahan tak poonchay ho Abbas say milnay ki khaatir Zehmat jo uthayi hai mola. 3) Kis tarha katay baazu meray Maqtal may bata deyna bayshak May zeen se zameen par kaisay gira Amma ko suna deyna beshak Abbas ke girne se laykin Zainab ke giri thi saar se rida. 4) Ta charon jaanib bikhra howa Quran Hassan ka jangal may Pamaal badan Qasim ka howa Guzri wo qayamat maqtal may Abbas ki zauja say pehle Afsous howi baywa Kubra. 5) Baba say kiya bachon ko juda Kya zulam yeh dhaya logon nay Muslim ki laash ko Kufay ki Galiyon may phiraya logon nay Abbas ki nazron kay aagay Ujri thi Ruqayya ki duniya. 6) Ye soch kay ran may roti hai Baazu say lipat kaar meri wafa Yeh baat garan guzregi bahot Amma ki tabiyat paar aaqa Agaar haath howay paani say meray Aur aap ka Asghar pyaasa raha. 7) Do bhai bichaar tay thay ran may Kaisa tha qayamat ka manzar Abbas mujhe bhayi kehdo Sarwar nay kaha jab ye rokar Shabbir ko bhai keh to diya Lekin thi takallum lab pe sada.
|