Shabeeh e payambar akbar Zibaah pa maidaan x2
1.Ye sibt e payambar ki laila ki kamaayi hai x2 Kya maadar e akbar ne takdeer ye paayi hai x2 Khaymo me bapa matam, x2 Ai mere jawa akbar Ziba paa maidaan.
2.wo naazo ka paala hai atthaara baras waalaa x2 Zainab ka dulara hai atthara baras waalaa x2 Khaimo me bapa matam x2 Ai mere jawan akbar Zibaa pa maidaan
3.Socha bhi na tha maa ne ye din kabhi aaega x2 Marne k liye akbar maidaaan me jaaega x2 Khaimo me bapa matam x2 Ai mere jawa akbar ziba pa maidan
4.Khaaega kaleje par jis waqt sina akbar x2 Ye teri khabar sunke mar jaaegi maa akbar x2 Khai mo me bapa matam x2 Ai mere jawa akbar ziba pa maidan
5.Jaata hai jo maqtal me wapas wo nahi aata x2 Taqdeer dikhaaye na akbar ka kahi laasha x2 Khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawan akbar ziba pa maidn
6.Akbar teri shaadi ka armaan tha khwahar ko x2 Poshaakh shaahani wo pehnaaye baradar ko x2 Khaimo me bapa matam x2 Ai mere jawan akbar,ziba pa maidn
*7.Teere hai nakaahat hai aur sibt e payambar hai x2 Farzand ki mayyat hai aur sibt e payambr hai x2 Khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawan akbr ziba pa maidn
8.Phir kaun bachaega karti thi buka madar x2 Cheenenge laeen aake jab sar se mere chaadar x2 Khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawa akbar ziba pa maidan
9.Akbar ne dam e rukhsat jeene ki duaaen lee x2 Aur kaapte haatho se zainab ne balaaye lee x2 khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawa akbar ziba pa maidan
10.Beta na kisi ka yoo mar jaae jawaani me x2 Matam ki sadaaye hai darya ki rawaani me x2 khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawa akbar ziba pa maidan
11.zehra ki inayat hai padhta hai naqi nauha x2 Ham shakl e payambr ka shabbir ko hai pursa x2 Khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawa akbar ziba pa maidan
12.miljaaye jo akbar ki tehreer mujhe mehshar x2 Din raat padhu nauha ye khaakh pe sar rakhkar x2 Khaymo me bapa matam x2 Ai mere jawa akbar ziba pa maidan |