Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain.. Fi fuaadi karbala, wan-nidai karbala Karbala awaaz meri, dil mera hai karbala karbala, karbala, karbala..(6)
Yahan sambhal kar qadam uthana yeh karbala hai, yeh karbala hai..
Yeh baat hargiz na bhul jaana yeh karbala hai, yeh karbala hai Karbala karabala karbala
1. Jahan e sabr o reza yehi hai nida e sabr o reza yehi hai yahan pe aake hai chalke Mehdi(a.t.f.s) Behisht e zahra ye sar zameen hai yahan hai zahra ka aana jana yeh karbala hai, yeh karbala hai
2. Duaein denge hussain tumko yahan pe aansu agar bahaye yahan pe beti ne bewatan ki sitamgaro se tamache khaye yahan pe khushiyo ko bhul jaana yeh karbala hai, yeh karbala hai
3. Yahan pe guzri hai wo qayamat mila na usko sukoon ab tak ridaein chinne ke ghum mein abid lahad mein rota hai khoon ab tak yahan pe hargiz na muskurana yeh karbala hai, yeh karbala hai
4. Yahan pe hurr bhi tha hurmala bhi kitabe hasti ko padhke dekho sada e halmin jo aa rahi hai tum is taraf ho ya us taraf ho tumhe amal se hai ab batana yeh karbala hai, yeh karbala hai
5. Kahin pe qasim hue hai tukde kahin pe zeen se gire the maula kahin sakina sumo se lipti kahin pe asghar ne teer khaya yahin ghareebi ka hai thikana yeh karbala hai, yeh karbala hai
6. Sawari aayegi ek wahan se najaf ki janib nigaah rakhna jab aaye shame ghariban jis dum ali ko zainab ka pursa dena tum aansuo ke diye jalana yeh karbala hai, yeh karbala hai
7. Kisi ke dil mein lagi hai barchi kisi ke baazu kate yehi par haye ali ki beti ke kitne yusuf lahu mein doobe hai is zameen par luta hai sadaat ka gharana yeh karbala hai, yeh karbala hai
8. Rahe kahin bhi jahan mein jakar hussain wale ye jaante hai hum ehle matam ke dil takallum yahan ki mitti se hi bane hai yahan hai wapas palatke aana yeh karbala hai, yeh karbala hai |