Aey Sheh ke alamdar, ay sheh ke alamdar alamdar Aey zay ghame hyder, ay hyderi talwar alamdar
roti hai behan teri aa dekh mere ghazi hai dard bhara manzar chaadar bhi nahi sar par hai majmae kuffaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
ye khoon bhara parcham karta hai tera matam qaimo se dhuwa utha ay bhai mere aaja faujo ki hai yalghaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
faryaad meri sunlo darya se chale aao tum de chuke qurbani dar kaari nahi paani jeena huwa dushwaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
tum baazue sarwar thay shabbir ka lashkar thay zainab ka bharosa thay bachon ka sahara thay hoti hoo dilafgaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
amma ka chaman ujda pardes may ay bhaiya mai dasht may tanha hai char taraf aada marjaaye na bemaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
masoom sakina hai garmi ka mahina hai do boondh nahi pani hone ko hai zindani mehshar ke hai aashaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
jhoole may nahi asghar lori de kise maadar darwaza-e-qaima par kehti hai wo ro ro kar mai kisko karoo pyar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
bachon ko hoo mai royi keh sakta nahi koi wo bhaai ka sadkha thay bas isliye zinda thay kya unse saropaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
jaati hoo sare zindaan ay bhaai sare uriyan bazu hai rasan basta purkhaar bahot rasta nazron may hai darbaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
akbar ne sina khaayi mujko na ajal aayi seena hua do-paara naizo se usay maara mai uski hoo ghamkhaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
mai laut ke aaungi markhad bhi banaungi mai doongi kafan tujko mohlat de agar mujko ay mere wafadaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar....
rehaan kalam roya jab lik chuka ye nowha majlis may hua matam jab aaya tera parcham rote thay azadaar, ei sheh ke alamdar alamdar ay sheh ke alamdar |