بسم اللہ الرحمن الرحیم Maula madinay walay Jin ka nana nabi s.a.w Jin ka baba Ali a.s Jin ki maa Fatima a.s Jin ka bhai Hassan a.s Wo hain Maula hamaray Hussain a.s Maula Madinay walay
Karbal main agaye hain Karbal basanay walay Maula madinay walay
Khaimay saja rahay hain Wada nibhanay walay Maula madinay walay
1. Yeh dar wo pak dar hai , Jo Fatima (a.s) ka dar hai Yeh payaray Mustafa (s.a.w) ka , Maula Ali(a.s) ka ghar hai Maktal mai agaye hain , Quran sunanay walay
2. Islam nay pukara , Quran nay sada di Yasrab ka shahazada , Yasrab ki shahazadi Niklay safar ko ghar sai , kalma bachanay walay
3. Ro ro kay boli Sughra a.s , Dil dobta hai mera Veeran kia Madina , Jungal may hai basaira Mujh ko rula gaey kioun , Khushian lutanay walay
4. Damad kay dularay , Beti kay shahazaday Thy teen din kay pyasay , Sab phool Mustafa (a.s) kay Katray ko hain yahi to , Darya bananay walay
5. Sab lut gaye kamaye , Akbar(a.s) nay barchi khai Asghar(a.s) nay teer khaya , Daiti thi maa duhai Teeroun kay saey may hain , Sajday may Jana walay
6. Halmin ka istaghasa , Jab dey chukka wo piyasa Awaz-e-irjai nay , Aa kar diya dilasa Aa meray pass aja , Lashay uthanay walay
7. Aik shoor ha falak par , Kehta tha Rab-e-Akbar Jibreel badaloon ka , Jaldi bechao bister Jannat may a rahay hain , Quran bachanay walay
8. Salman aur shanawar , Khush bakht hoon ali jee Rehan ki tamna , Sarwar ki jo dua thy Khidmat qabool kar lay , Qismet banany walay
|