Sughra teray baghair safar mera adhoora ho ga Veeran ghar may kaise, ab tera guzara ho ga
Beemar behan ho to chora nahi jata Sab log ja rahay hain, Kia mera sahara ho ga
Gar Karbala may tujh ko may na bula saka Shadi ka khab wallah, Akbar ka na poora ho ga
Kayi bar bibi Sughra mehmal pe charhi ho gi Kayi bar rotay rotay, Akbar ne utara ho ga
Nashad baara chowda Masoom ne kaha Jannat may ronay walo, ghar aadha tumhara ho ga
|