Karbala
Ya Hussain 4.
Jab Karbala may pohonchay, sarkar shah-e-wala(a.s.) X2 Goya Hue haram se, sarkar e Shah e wala
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.)
Wada tha jis ka jug se, ye to wahi jagha hai mashed hai ye hamara, ye qatl ki jagha hai, Ab hashr tak hamara 2, masken ki jagha hai
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.) 2
Ye Sar zameen ek din, Rashk ke jina bane gi hogi yahan ziyarath, Nabiyoon ki kudsiyoon ki, Khake Shifa bane gi 2, Karbo bala ki matti.
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.)
Is nehre Alqama per, Aada ka hoga pehra Tapte dinoon main hoga, Kumba Nabi ka pyasa, Bachoon ka shoor hoga 2, Khaimo main al-Atash ka.
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.)
Yahan khatal hongee pyase, hum bhi aur Aqraba bhi Bhai Hasan ke beta, Muslim ke Mehlaqa bhi. Zainab ke dono bete 2, Abbas(a.s) e Bawafa bhi.
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.)
Ansar bhi hamare, Bichdeinge is jagha per chunne hain hum ku tukde, Khasim ke iss jagha per Do baar Zibha honge 2, Sishmahe Iss Jagha per.
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.)
Yahan Yediyaan raghad kar, Akbar bhi jaan deenge, Gardan pe Teer kha kar, Asgar Bhi jaan deenge, Hurr aur Habib jaise 2, Yawar bhi Jaan deenge,
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.)
Deena tha Mustafa (saws) ku, Ahele Haram ka pursa, Tayeed e Sayeda thi, Kashif ka tha Taqaza, Kya khoob Sibte Jaffar 2, Tu ne likha ye Noha.
Jab Karbala may pohonchay sarkar shah-e-wala(a.s.)
|