Madine me aayi ye kaisi qayamath, nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyat, Hai mehzoon shaahe madeena ki haalath, nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyath..
Nikalte hain rote hue sab gharon se, ke jaise utha maa ka saaya saron se, Yunmasroof gham hai Mohammed ki ummat nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyath..
Hai Maa aur beti me ab toh judayi, Nabi kaise beti ko den ab tasalli, Ke tuta hai Zehra pa koh e musibath, nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyath..
Koi Maa ke marne ka gham kya bataye, Yateemi ka sadma yateema hi jaane, Sahe Fatima kaise maadar ki furqat, nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyath..
Ye tanhayi aur ye yateemi ka sadma, bina Maa ke dushwar hota hai jeena, Mile kaise binte Khadeeja ko rahat, nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyath..
Nadi aankh se aansuon ki rawan hai, Zaban par faqat haye Maa haye Maa hai, Kahan Fatima ko hai rone ki fursat, nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyath..
Mujeeb aaj har ummati ro raha hai, Razi shehr e yasrab me matam bapa hai, Ke Zehra ki Maa kar gayin aaj rehlath, nikalti hai ghar se Khadeeja ki mayyath..
|