Karwal jawan ki laash par, kehta raha, ro kar pidar Awaaz to day Akbar, haey Awaaz to day Akbar Girta howa uthta howa, aa tu gaya hun mein magar, ghum hogaya noor-e-nazar. 1) Tu nojawan hai Akbar, aur hai zaeef hay baba Kaisay uthaoon mayyat, mujko tu bata de itna Jaana hai ab khayyam tak, kaisay karun main ye safar Kham hogayee meri qamar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3) 2) Aayi Sadaa Jidhar Se, Mai us Taraf Barhunga Aayi Sadaa Jidhar Se Awaaz Sunte Sunte, Tujhe Ran Mai Dhundh hi lunga Tu Hai Jidhar Pyaare Mere, Dheere Se Yeh Kehte Huwe Baba Idhar, Baba Idhar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
3) Sughra Ke Naamwar ko, khat ka jawaab kya doon Sughra Ke Naamwar ko Jo Muntazir Hai Usko, Barchhi Ka Haal Sunadun Raste Se Ab Nazren Hata, Maara Gaya Bhaai Tera Kya Bhejdun Usko Khabar haaye Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
4) Teri Sadaa Ko Sunkar, Woh Phir Se Jee Uthegi Teri Sadaa Ko Sunkar Hamshir Teri Warna, Shaayad Nahin Jee paayegi Seenay Ki Barchhi Thaamke, Sughra Ko Uske Naam Se Ek baar himmat Jorr Kar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
5) Barchhi Se Bas Kalejaa, Tera Nahi Chhidaa Hai Barchhi Se Bas Kalejaa Maqtal Mai Fatema Ne, Dil apnaa Thaam Liya Hai Bhaai Hassan Nana Nabi, Baba Ali Daadi Teri Mawjud Hai Sab Hi Idhar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
6) Kaise Bayaan Karun Mai, Woh Dardnaak Manzar Kaise Bayaan Karun Mai Sakhte Mai Thi Khudaai, Rota Tha Saara Lashkar Jab Fatema Ke Laal ne, Haathon Pe Lekar Khaak Se Rakh Kar Kahaan Zaanun Pe Sar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
7) Laashe Ke Dono Jaanib, Baithi Hai Maaen Dono Laashe Ke Dono Jaanib Seenay Pe Bosen Dekar, Leti Hai Malaaen Dono Zainab Idhar Laila Idhar, Chume Tera Zakhmi Jigar Inse Toh Koi Baat Kar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
8) Teri Sadaa Ko Sunkar, Woh Phir Se Jee Uthegi Teri Sadaa Ko Sunkar Hamshir Teri Warna, Shaayad Nahin Jee paayegi Sine Ki Barchhi Thaamke, Sughra Ko Uske Naam Se Ek baar himmat Jor kar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
9) Takra rahi hain har su khaimein mein Umm-e-Laila Usko pata chala jab aya hai tera lasha Teri maut ki sunkar khabar, girta nahi khaime ka dar Aisa huwa uspar asar Awaaz To Day Akbar, haaye (x3)
10) Akbar Janaabe Akbar, Khaamosh Ho Gaye Thay Akbar Janaabe Akbar Shabbir Sar Jhukaaye, Laashe Ke Paas Khade The Zainab Kabhi Laila Kabhi, Behnne Kabhi Kabhi Naamwar Kehta Rahaa Yeh Saara Ghar Awaaz To Day Akbar, haaye (x5)
|