Haey sham e ghariban ko Zainab ne kaha ro ke – may ujarr gayi Ghazi Mera bhai bhi mara gaya aur sar pe meray maa ki – chadar na rahi Ghazi
Maqtal may parri lashain hay khof zada manzar Darya se chalay aao masoom yateemo ko - hay pyas lagi Ghazi
Lashon may kharri ho ke baba ko bulati hay Kano se lahoo jari aur dar ki shiddat se - ye so na saki Ghazi
Akhtar kaha Zainab ne ro ro ke Khuda hafiz Tu jis ka nigehban tha chadar na rahi sar pe – may Shaam chali Ghazi |