Yun baaghiyon ne loota baaghe shah e zaman ko Veeran kar diya hai phoolay phalay chaman ko
Phoolon ka zikr kaisa kaliyon ko bhi na chorra Teer e sitam ne mara Asghar se gul badan ko
Maa jayi le rahi hay Shabbir ki balayain Hasrat se dekhte hain Shah ghamzada behen ko
Balwe main sar barehna itrat hay Mustafa ki Sibt e Nabi ka laasha mohtaj hay kafan ko
Gardan ke neel jis dam dikhlati thi Sakina Kasta that aur barrh kar Shimr e laeen rasan ko
Bichrre huaey jahan ke mahshar main phir milenge Samjha rahe hain Qasim ik raat ki dulhan ko
|