Batool zadi teray pursa dar aaye hain Ye chand ashkon ka tohfa bhi sath laye hain
Tu baad qatl e Hussain Shaam aa gayi bibi Bacha na bhai na sar pe rida rahi bibi
Na janay kaise bhatakti phiri bazaron may Ridayain mangti ho gi kharri hazaron may
Sina ki noak pe Abbas dekhtay hoon gay To khoon Abid e beemar ro rahay hon gay
Rubab o Laila ke hathon may rasiyaan hongi Yateem bali Sakina ki siskiyan hon gi
Baghair Aon o Muhammad tu jab chali ho gi To apnay beton ki lashon ko dhoondti ho gi
Baazar e Shaam may khutbay jo hain parrhay tu ne Na janay jaan pe kia kia sitam sahay tu ne
Janab e Fizza tumhe jab dilasay deti thi Na maro - na maro Zehra ki beti hay ro ro kehti thi
Gira Rubab ke sar pe jo aa ke ik pathar To yaad aa gaye hoon gay tumhe Ali Akbar
Tumhe to dekh ke suraj bhi sharm khata tha Tu sehm jati thi baba jo ghar may aata tha
Kisi ne socha na tu Fatima ki jayi hay Janab e Hazrat e Abbas tera bhai hay
Tumharay lutnay se Islam bach gaya bibi Khuda Rasool ka haey nam bach gaya bibi
Ham ghariboon ka ye pursa qabool kar bibi Aur apnay karm ka sab par nazool kar bibi
Ye sansain chalti hain Akhtar bhi dar pe hazir hay Jo mar gaya to ye apna salam e aakhir hay
Salam kar ke sab apnay des jayain gay Rahay jo zinda to phir aglay saal aayain gay |