Kia dhoondh rahi hay jangal may Sakina Abbas ke bazoo ya baba ka seena
Kano se chinay gohar aur aag thi daman may Ghabrayi hui bachi kehti hi rahi ran may Hay koi jo mujh ko pohncha de Madina
Kehti thay ke Asghar ko le aao meray baba Soona nazar aata hay bhai ka meray jhoola Asghar ke baghair ab mujh ko nahi jeena
Zad pe hay mazalim ke ye phool se masooma Maqtal se kahan jaye Shabbir ke mazlooma Wo durron ka khana wo ashk ka peena
Mushkil may ghiri haey aulad e Nabi kaisi Is dasht e museebat may hay tashna labi kaisi Aaya nahi ab tak saqqa e Sakina
Wo waqt judai wo halat ki majboori Sarwar se Sakina ke ab tak na miti doori Maqtal may angoothi hay zindaan may nagina
Masroof e ibadat ho tum shaam o sahar Meesam Kehtay hain yehi ro ke din raat Zafar Meesam Hay nazar e Sakina ashkon ka khazeena |