Hichkiyan layta hay Ali Akbar, Umme Laila ye bain karti thi Poshaak urha loon kay may armaan nikaloon Ay mout tehar jaa, ay mout tehar jaa May apnay jawan laal ko dulha to bana loon 1) Is laal ko may kaisay karoon teray hawalay Yeh chand to daita hay zamanay ko ujalay Is chand ki poshaak sitaron say saajaloon. 2) Athara baras phoolon ki tarha jisay paala Jaata hay mujhay choor kay woh gaysuwo wala Ab tu hi bata kaisay may is dil ko sambhaloon. 3) Dekhay thay bahot khaab magar khaak howay saab Is baitay kay sehray ki dua karti thi Zainab Dhulla na sayhi may issay dhulla sah banaloon. 4) Haar shaam jisay lagti hay ab shaam-e-gharibaan Jo kehti thi Akbar ki dulhan laungi amma Us Fatima Sughra ko Madinay say bulaloon. 5) Qaimay say zara door khaaray rotay hay Sarwar Ek haat kallejay pay hay ek haat kamaar paar Mai khud ko sambhaloon kay Shah-e- deen ko sambhaloon. 6) Ye kiski nazar kha gayi is nooray nazar ko Veraan kiye jaatay hai Akbar meray ghaar ko Jee karta hai is chaand ko duniya say chupaloon. 7) Zainab kay labon paar hay buka haye muqaddar Kya sehra chaarhaun may teri laash peh Akbar Aur khud ko teri laash peh sadqay hi uttaroon. 8) Mendhi na laagi haaton may hai khoon badan ka Pooshak-e-shahani ko milla daag kafan ka Is laash peh athaarveen mannat ko barahaloon. 9) Taqdeer kisi maa ko yeh manzaar na dikhaaye Maiyat peh jawaan laal kay woh ashq bahaaye Jee bhaar kay issay dekhloon aur ashq bahaun. 10) Fariyaad zara sunlay Sakina ki zubaani Maarjaungi bichra jo mera yusuf-e-saani Bhaiya meray naraaz hay may unko manaloon. 11) Maa roti rayhi mazhar-o-irfan tarapkaar Aur aakhri hichki may safar kaargaye Akbar Maa kehti rahi may issay dhulla toh banaloon.
|