Bano kahan talash karein apne laal ko Jungle may maar daala hai zehra ki aal ko
Zainab ke saath roti hai sab milke bibiyan Jab dekhti thi roz wo waqt e zawal ko Bano kahan talash karein...
Shabbir dil ko thaam ke ghash khake gir pade Dekha jo khoon may garkh nabi ke jamaal ko Bano kahan talash karein...
Shabbir mere paas hai sadke ko bas yahi Jhoole se laake de diya bano ne laal ko Bano kahan talash karein...
Shabbir laa rahe hai maidan se dekhiye Apne zayeef kaandhon pa athara saal ko Bano kahan talash karein...
Bazaare shaam may wo aseeron ka khafila Abid na bhool paaye kabhi is khayaal ko Bano kahan talash karein...
Aisa toh zulm o jaur kisi par hua nahin Barbaad jis tarah kiya zehra ki aal ko Bano kahan talash karein...
Laila duvayein karti rahi baad e karbala Ya rab juda na karna kisi maa se laal ko Bano kahan talash karein...
Shabbir apne roze pe bulwayenge zaroor Tauqeer tu nikal da dil se malaal ko Bano kahan talash karein... |