Arz karti thi ro ro ke Sughra Sath letay chalo mujh ko baba
.... Kon bekas ko taskeen day ga Kon ho ga jo day ga dilasa Sath letay chalay mujh ko baba
Tum se koi sawari na loon gi Karbala tak may paidal chaloon gi Ab judai nahi hay gawara Sath letay chalo mujh ko baba
Ghar may kis tarha tanha rahoon gi May to Asghar ko janay na doon gi Ghar may rehnay bhi do jhoolay wala Sath letay chalo mujh ko baba
Qafilay ko thahraye ga Aayain gay kab ye farmayey ga Bin tumharay rahoon gi na zinda Sath letay chalo mujh ko baba
Likho gham ka Raza yun fasana Ho gaya qafila jab rawana Reh gayi peet-ti sar ko Sughra Sath letay chalo mujh ko baba
|