Andheray detay hain pehra lahad pe bibi ki Ujala aa nahi sakta lehad pe bibi ki
Hussain sham dhalay kehtay hon gay Akbar se Chalo chalain meray beta lehad pe bibi ki
Jhukaye rakhan khabar dar apni nazron ko Ke roz aati hain Zehra lehad pe bibi ki
Kaheen ye Hazrat e Abbas to nahi hain dil Ye kon karta hay girya lehad pe bibi ki
Har aik sham ko shama jalanay aati hain Janab e Zainab kubra lehad pe bibi ki
Hay koi maa jo ye saydaniyon se kehti hay Rida baghair na aana lehad pe bibi ki
Khuda kary ga Takallum wo din bhi aaye ga Parhon ga jaa ke ye noha lehad pe bibi ki |