Aey jaan Sakina nadan Sakina Aey Shaam ke zindan ki mehman Sakina
Dekho to utho qaid may hai kiska ye matam Bano tere is neend ke qurban Sakina Aey jaan Sakina....
Uth-ti nazar aati nahi ye neendh hai kaisi Ye khwab to karta hai pareshan Sakina Aey jaan Sakina....
Is kokh jali maa to tamanna ye na thi kya Poora na hua ek bhi armaan Sakina Aey jaan Sakina....
Kyon haath ye kano pe rakhe hue baithi Dukhte hai abhi tak kaho kya kaan Sakina Aey jaan Sakina....
Ye des naya log naye hum bhi naye hai Kis tarha se ho dafn ka saaman Sakina Aey jaan Sakina....
Do gaz ka kafn bhi tujhe de sakti nahi maa Zindan may bhi aayi hai pareshan Sakina Aey jaan Sakina....
Asghar ko karo pyar lo akbar ki balayein Jab khuld may tum jao meri jaan Sakina Aey jaan Sakina....
Wo roz ki seeri wo tera roz ka rona Bas aaj se zindan hai sunsan Sakina Aey jaan Sakina....
Ye din bhi khuda jald hi bano ke liye laaye Kholega dar e qaid ko darbaan Sakina Aey jaan Sakina.... |