Tanhai may zindan ki yeh kehti thi Sakina Baba ki judayi Main, na mar jayai Sakina
1) Daman main lagi aag to gohar bhi utarai Baad aap kai adaa nai, tamachai mujhai maarai Is haal-e-aseeri main, main mar jaun kahin na
2) Is haal main ghurbat main kahin chain na paya Zulmat kai andherai main, laeeno nai sataya Ab dhundai vala hai, is bachi ka kafeena
3) Jab ghar sai chalai thai sabhi saath thai apnai Kaisa yeh sitam ho gaiya, mun phaira hai sab nai Kab lot kai ponchai gain, ham ab shehar madina
4) Bhaiya Ali Akber bhi suyai khuld sidharai Ammu bhi nahi kis ko, Sakina yeh pukarai Nanna Ali Asgher hai, Na baba ka wo seena
5) Zindaan hai yateemi hai jafa aur sitam hai Baba ki Judayi bhi huwi, dil main yeh gham hai Mar ker bhi reha ab to, main shayad hun kabhi na
|