Islam ka dil madar e ummat hain Khadija Khaliq ki ata deen ki zaroorat hain Khadija Har tarha ke dukh jhailay hain Islam ki khaatir Wo paikar e ikhlas o muhabbat hain Khadija ----------------------------------
Aaj tak koi samjha kahaan Aey Ali teri tanhayian Bas faqat hain teri raazdan Aey Ali teri tanhayian
Jagmagati na towheed may Gar samati na towheed may Aakhirash phir simat-ti kahaan Aey Ali teri tanhayian
Ibtida, inteha, Kibriya Ambiya, Aulia, Ausiya Sab hain chup bolti hain jahan Aey Ali teri tanhayian
Zaat e shahid may mash-hood may Yaan wajood aur mojood may Kam se kam hay fasl e kamaan Aey Ali teri tanhayian
Husn ki deed ki ain tak Jalwa e Qaaba Qosain tak Haan bas ik parda e darmiyan Aey Ali teri tanhayian
Kis ko yaara karay guftagu Goongti hay yahan sirf Hoooooo Bolti hain Khuda ki zabaan Aey Ali teri tanhayian
Poochti hay salooni yehi Hay koi ilm kash hay koi Haey koi nahi tha wahaan Aey Ali teri tanhayian
Dam badam pae bapae ja baja Keh rahi hay ye Kun ki sada Karrh leti hay khud se jahaan Aey Ali teri tanhayian
Kaisa koi salam o kalam Jab nahi hay jawab e salam Uff ye toqeer e ilm al amaan Aey Ali teri tanhayian
Ro rahi hain jo Shaam o sahar Fatima teri tanhayi par Fatima per hain girya kunaa Aey Ali teri tanhayian |