Alqama sar patakhti rahi Aasma khoon rota raha
Haey Zainab ke do ladlay Aa gaye khoon may doobay huay Maa to tasbeeh parhti rahi Aasman khoon rota raha
Aik bhai ka sookha gala Kunda khanjar se kat-ta raha Aur behan sar patakti rahi Aasman khoon rota raha
Haey besheer ki tashnagi Teer se Hurmala ke bujhi Tashnagi khud tarrapti rahi Aasma khoon rota raha
Ja ke saahil pe pyasa jari Murr gaya le ke tashna labi Maoj naizon uchalti rahi Aasman khoon rota raha
Jab nikaali jigar se sina Haey Akbar ne leen hichkiyan Bekasi hath malti rahi Aasman khoon rota raha
Noor aankhon ka zayel hua Baap girta sambhalta raha Nojawani tarrapti rahi Aasman khoon rota raha
Qasime gulbadan neem jaan Aa gaya foaj ke darmiyan Lash tukrron may bat-ti rahi Aasman khoon rota raha
Karbala jab bhi Tamjeed ne (Check) Marsiye gham ke parrhay Chashm e Nasir barasti rahi Aasman khoon rota raha |